Jo lehron se aage nazar dekh paati
toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati
toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta
Zid ka tumhare jo parda sarakta
toh khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate
toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Meri tarah khud par hota zara bharosa
Meri tarah khud par hota zara bharosa
toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa
toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.
No comments:
Post a Comment